Zindagi ki kayi
paheliya adhurisi jo reh gayi hai
Jeena aakhir kya hai
?
Chaar saanse, ek
jism aur kuch yaadein
Kisika milna, vo
lamhe aur uska bhichad janaa
Ladkhadaate kadmo se
phir khudko sambhalna
Unhi raasto pe lagi
vo har ek thokaren
yaad dilati gujrate
wakt ki kayi galtiyan
Aasaan nahi hai in
har lamho se gujranaa
Aansuon ke barishon
se pal pal ladna
kahi hawao ka shor hai to kahi mitti ki
sarsarahat
Kyu aaj bhi hai dilon me uski hi chaahat
Kyu na bhul ke shuru
kare ek nayi shuruvaat
Aur sikhle ham bhi
jine ka vo bebaak andaaj
Par phir kyu Baar
baar uthtaa hai ek hi sawal
Ki jeena aakhir kya
hai?
Shayad mil jaate har
ek sawalon ke jawaab
Kaash sun pate
haatho ki lakeeron ki dheemi aawaj.
No comments:
Post a Comment